Sunrisers Hyderabad (SRH) ne IPL 2025 ke beech ek aisa kadam uthaya hai jo poore tournament ka mood badal sakta hai. Team ne Hyderabad Cricket Association (HCA) ke khilaf zabardast sikayat ki hai – harassment se lekar blackmail tak, sab kuch allegedly sirf free complimentary tickets ke mamle mein.
SRH ke general manager Srinath TB ne ek khaas letter likha HCA ke treasurer CJ Srinivas Rao ko, jisme unhone pura mamla detail mein bataya.
“All these unprofessional threats and actions by HCA, especially by the HCA president, make it evident that you don’t want Sunrisers to play at your stadium. Agar aisa hi hai toh please humein likhit mein batayein, taaki hum BCCI, Telangana government aur apne management ko inform kar saken aur kisi aur venue mein shift ho saken,”
Srinath ne yeh bhi add kiya:
“Hum pichle 12 saalon se HCA ke sath kaam kar rahe hain. Sirf pichle season se hi humein lagataar problems face karni pad rahi hain.”
Unhone clear kiya ki SRH har match ke liye HCA ko 3,900 complimentary tickets deta hai – jisme 50 seats F12A box mein hoti hain. Lekin ab HCA ka kehna hai ki box mein sirf 30 log hi baith sakte hain. Upar se, ek aur box mein 20 aur free tickets ka demand bhi aagaya hai.
Baap re! March 27 ko jab SRH ka match Lucknow Super Giants (LSG) ke sath tha, HCA ke logon ne ek pura box lock kar diya – sirf isliye kyunki SRH ne extra 20 tickets nahi diye. SRH ne turant yaad dilaya ki stadium ka rent wo hi dete hain, toh box unka haq hai.
SRH ka kehna hai ki aise issues pichle kuch saalon se baar-baar ho rahe hain, aur ab baat hadd se aage badh gayi hai. Isiliye unhone apex council members ke sath ek urgent meeting ki demand ki hai. HCA ke president A Jagan Mohan Rao ne kaha hai ki association matter resolve karne ki koshish kar raha hai.
Waise SRH ka agla home match April 6 ko Gujarat Titans (GT) ke sath hai. Ab dekha yeh jaayega ki yeh match Hyderabad mein hota hai ya kahin aur!