Monday, April 21, 2025

Top 5 This Week

Related Posts

Kya GT Ki Jeet Rukegi? Kagiso Rabada Ne IPL 2025 Beech Mein Hi Chhoda!

Gujarat Titans ko IPL 2025 ke beech ek bada jhatka laga hai. Team ke star pace bowler Kagiso Rabada ne personal reasons ke wajah se tournament chhod diya hai aur wapas South Africa laut gaye hain. Yeh update Thursday ko team management ne diya.

“Gujarat Titans pacer Kagiso Rabada has returned to South Africa from the ongoing season of the IPL due to some personal reasons. The South Africa international was a part of Gujarat Titans’ first two matches of the IPL 2025. Kagiso Rabada has returned to South Africa to deal with an important personal matter,” Gujarat Titans said in a statement.

Rabada ko Gujarat Titans ne β‚Ή10.75 crore mein IPL 2025 mega auction ke dauraan kharida tha, jab woh pehle Punjab Kings ke liye khelte the. Unhone GT ke liye debut kiya Punjab Kings ke khilaaf, jahan unhone 1/41 ka spell daala. Agle match mein, Mumbai Indians ke khilaaf bhi unhone 1/42 ka performance diya.

Halanki, woh Royal Challengers Bengaluru ke khilaaf M Chinnaswamy Stadium mein GT ki jeet ka hissa nahi ban paye. Team ne abhi tak unke return ko lekar koi clear timeline nahi di hai, aur unke fans ko ab bhi unke comeback ka intezaar hai.

Gujarat Titans ka agla match hai Sunrisers Hyderabad ke khilaaf 6 April ko. SRH ki explosive batting line-up ke khilaaf Rabada ki presence GT ke liye bahut important hoti, lekin ab unki non-availability se team ko strategize karna padega without their pace ace.

Ab dekhna yeh hoga ki GT ka bowling attack Rabada ke bina SRH ko kaise rokta hai. Kya Rabada wapas aayenge is season mein? Yeh abhi ek bada question hai.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Popular Articles