Wankhede Stadium, April 7: Cricket ke maidan mein ek aur baar Virat Kohli ne sabko apni batting se hairaan kar diya. IPL 2025 ke high-voltage clash – Mumbai Indians vs Royal Challengers Bengaluru – mein unhone 13,000 T20 runs ka mega milestone paar kar liya, ban gaye pehle Indian jinhone yeh feat achieve kiya hai!
RCB ke legendary batter Kohli ne jab apni innings mein 17 runs touch kiye, tabhi likh di gayi history. Unka yeh milestone aaya unki 386th T20 innings mein, aur is speed se yeh record sirf ek player – West Indies ke Chris Gayle – se hi peeche hai. Gayle ne yeh target 381 innings mein achieve kiya tha.
Yeh record sirf India ke liye nahi, global cricket ke liye bhi khaas hai. Kohli ab un 5 elite batters mein shamil ho gaye hain jinhone 13,000+ T20 runs banaye hain. Unhone Alex Hales ko bhi pichhe chhod diya – woh bhi lagbhag 90 innings ke huge margin se!
Waise toh Kohli ne 12,000 T20 runs ka milestone 2024 mein hi cross kar liya tha, tab bhi woh second-fastest the after Chris Gayle – bas 360 innings mein.
Indian context mein dekha jaye toh Rohit Sharma abhi 11,851 runs ke saath second position par hain, jo unhone 438 innings mein banaye hain.
Kohli ka T20 journey 2007 mein start hua tha jab unhone Delhi ke liye Himachal Pradesh ke khilaf khela tha – Inter-State T20 Tournament (jo baad mein Syed Mushtaq Ali Trophy ke naam se jana gaya). Debut match mein unhone 35 runs ka yogdaan diya tha.
Kal ke match mein bhi Kohli ne shandar batting dikhayi – 67 runs off 42 balls ke saath 8 chaukke aur 2 chakke jod diye, RCB ko 14.1 overs mein 143/3 tak pahucha diya!
Match Playing XIs:
Mumbai Indians: Will Jacks, Ryan Rickelton (wk), Naman Dhir, Suryakumar Yadav, Tilak Varma, Hardik Pandya (c), Mitchell Santner, Deepak Chahar, Trent Boult, Jasprit Bumrah, Vignesh Puthur
Impact Subs: Rohit Sharma, Corbin Bosch, Robin Minz, Ashwani Kumar, Raj Bawa
Royal Challengers Bengaluru: Philip Salt, Virat Kohli, Devdutt Padikkal, Rajat Patidar (c), Liam Livingstone, Jitesh Sharma (wk), Tim David, Krunal Pandya, Bhuvneshwar Kumar, Josh Hazlewood, Yash Dayal
Impact Subs: Rasikh Dar Salam, Suyash Sharma, Swastik Chikara, Jacob Bethell, Swapnil Singh
Kya Kohli ka yeh form RCB ko IPL 2025 ka title dilwa payega? Fans toh abhi se dream karna shuru kar chuke hain!