Mullanpur, April 8: IPL 2025 mein aaj Punjab Kings (PBKS) aur Chennai Super Kings (CSK) ka takkar hai Maharaja Yadavindra Singh International Cricket Stadium mein. Toss jeeta PBKS ke skipper Shreyas Iyer ne, aur bina kisi hesitation ke choose kiya pehle batting.
π£οΈ Toss ke baad kya bole dono captains?
Shreyas Iyer (PBKS Captain): “Hum pehle batting karenge, kyunki humari batting line-up pe full confidence hai. Last match mein dew ka zyada asar nahi tha, par wo hamare control mein nahi. Same playing XI ke saath jaa rahe hain. Bowlers bhi solid hain, bas unka sahi use zaroori hai. Rajasthan ke batsmen ko bhi credit dena padega last game ke liye.”
Ruturaj Gaikwad (CSK Captain): “Hum bhi pehle bat karna chahte the, pitch kaafi dry lag rahi hai. New conditions hain toh jaldi adapt karna padega. Humari bowling achhi chal rahi hai, but kuch overs mein 15+ runs dena costly sabit hua. Same team se hi khel rahe hain. Main no. 3 pe batting kar raha hoon balance ke liye, ye auction ke time hi decide ho gaya tha. Powerplay mein hamesha peeche rahe hain, ab enjoy karna hai game.”
π Playing XIs β Dono teams ka full squad
Chennai Super Kings (CSK):
- Rachin Ravindra
- Devon Conway
- Ruturaj Gaikwad (c)
- Vijay Shankar
- Ravindra Jadeja
- MS Dhoni (w)
- Ravichandran Ashwin
- Noor Ahmad
- Mukesh Choudhary
- Khaleel Ahmed
- Matheesha Pathirana
Impact Subs: Shivam Dube, Jamie Overton, Rahul Tripathi, Deepak Hooda, Anshul Kamboj
Punjab Kings (PBKS):
- Priyansh Arya
- Prabhsimran Singh (w)
- Shreyas Iyer (c)
- Shashank Singh
- Marcus Stoinis
- Nehal Wadhera
- Glenn Maxwell
- Marco Jansen
- Arshdeep Singh
- Lockie Ferguson
- Yuzvendra Chahal
Impact Subs: Suryansh Shedge, Yash Thakur, Praveen Dubey, Azmatullah Omarzai, Vyshak Vijaykumar
π§± Pitch Report β Kya bolte hain experts?
“Pitch thodi dry hai, aur dimensions bhi change kiye gaye hain β square boundary ab 69m aur straight boundary 74m hai. Consistency important hogi yahaan. Length ka bahut bada role hoga β overpitch karoge toh easy to hit, aur short daloge toh set ho jata hai. Good length best rahega,” β analysis by Daren Ganga & Michael Clarke.
βοΈ Head-to-Head Battle
CSK aur PBKS ne ab tak IPL mein 30 baar ek doosre ka saamna kiya hai. CSK ne 16 matches jeete hain, jabki PBKS ne 14 baar baazi maari hai. Aaj ka match karega ye record aur bhi interesting!
Stay tuned for more updates from IPL 2025 β match reports, player highlights aur post-match analysis ke liye!