Mullanpur, April 8: IPL 2025 ke match no. 22 me ek dhamaka dekhne ko mila jab Shreyas Iyer</strong ki Punjab Kings ne Ruturaj Gaikwad</strong ke Chennai Super Kings ko 18 runs se hara diya. Match Maharaja Yadavindra Singh International Cricket Stadium me khela gaya aur sabse bada highlight bana Priyansh Arya</strong ki toofan century!
π₯ Arya Ki Century Ne Macha Di Tabahi!
24 saal ke Delhi ke ladke Priyansh Arya ne sabko hila diya jab unhone sirf 42 balls me 103 runs thok diye. 7 chaukke aur 9 chakke maar ke unhone PBKS ko 219/6 tak le gaye. Stadium me sabse bada score ban gaya yeh!
Pehle PBKS 83/5 pe gir chuki thi sirf 8 overs me, lekin Arya ne apne six-hitting ka talent dikhate hue CSK ke bowlers ki band baja di. Shashank Singh</strong ne bhi 52* (36 balls) aur Marco Jansen</strong ne 34* (19 balls) karke support diya.
CSK ke bowlers kaafi average perform kiye. Pathirana</strong ne 52 run diye aur Ashwin</strong ne 48 run diye apne 4 overs me. PBKS ne iss mauke ka poora fayda uthaya.
π° CSK Ki Chase Me Thodi Kam Pad Gayi Taqat
Chennai ne bhi chase me shuruaat zabardast ki thi. Rachin Ravindra</strong aur Devon Conway</strong ne 61-run ki opening partnership banayi. Lekin Maxwell ne Ravindra ko 36 (23 balls) pe out karke PBKS ko wapas game me la diya.
Captain Gaikwad</strong sirf 1 run banake nikal gaye, aur yahi moment match ka turning point ban gaya. Conway aur Shivam Dube</strong ke beech 89-run ki partnership ne hope banayi, lekin PBKS ka bowling attack strong bana raha.
End me Dhoni</strong ne batting order me upar aake 27 runs (12 balls) ki fiery knock kheli, par match bacha nahi paaye. CSK 201/5 tak hi pahuch paayi, aur match 18 runs se haari.
Yeh CSK ki lagataar chouthi haar</strong bani, aur unke liye alarm baj chuka hai!
π₯ Kya Arya Ban Sakte Hain IPL 2025 Ka Superstar?
Priyansh Arya ne jo performance diya hai, uske baad unka naam sabke lips pe hai. Kya yeh IPL ka next big name banne wale hain? PBKS ke liye toh filhaal woh match-winner ban chuke hain!