Saturday, April 19, 2025

Top 5 This Week

Related Posts

RCB Ki Haar Ka Khatarnak Reason: Rajat Patidar Ne Khol Di Batting Unit Ki Pol!

M. Chinnaswamy Stadium mein IPL 2025 ka match jab barish ke chalte chhota kar diya gaya, tab kisi ne nahi socha tha ki Punjab Kings (PBKS) itni aasani se Royal Challengers Bengaluru (RCB) ko dhool chata degi. Lekin bas 14 overs ke game mein, PBKS ne 5 wickets se jeet hasil kar li!

RCB ne pehle batting karte hue sirf 95/9 ka score banaya, jismein unki batting poori tarah se fail hoti dikhayi di. PBKS ke bowlers ne discipline aur strategy ke saath game control kiya, khaaskar Arshdeep Singh ne jinhone pehle hi over mein Phil Salt ko out kar diya aur fir Virat Kohli ka keemti wicket bhi le liya.

RCB ke fans tab aur zyada hairaan hue jab unke middle-order ne bhi kuch khaas resistance nahi dikhaya. Liam Livingstone ka poor form jari raha aur unka careless shot unke dismissal ka reason bana. RCB ka score collapse hota gaya, aur PBKS ne har over mein pressure maintain kiya.

Match ke baad, RCB ke captain Rajat Patidar ne apni batting unit ko hi is haar ka zimmedar thehra diya:

“Initially wicket two-paced tha, lekin hum batting mein kaafi behtar kar sakte the. Partnerships nahi bani, wickets jaldi girte gaye aur ye ek badi seekh hai hamare liye. Wicket itna kharab nahi tha, bas covers mein lamba samay rehne se unke bowlers ko madad mili. Lekin hum chahe kisi bhi wicket par kyu na khelein, humein achha score banana hoga. Bowling unit ne achha perform kiya hai, lekin batting mein thoda aur sudhar chahiye.”

Chasing mein PBKS ke openers Prabhsimran Singh aur Priyansh Arya ne solid start diya. RCB ke Bhuvneshwar Kumar aur Josh Hazlewood ne kuch waqt ke liye match mein jaan daali, lekin PBKS ka impact sub Nehal Wadhera ne match finish kar diya apne 19-ball 33* ke zabardast innings ke saath.

Ab dono teams phir se 20 April ko Mullanpur Stadium mein takraayengi. Kya RCB kar payegi comeback ya PBKS karegi double dhamaka? Dehna hoga!

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Popular Articles