Ahmedabad: Gujarat Titans (GT) ne IPL 2025 mein Delhi Capitals (DC) ko 7 wickets se hara kar points table ki top position apne naam kar li. Lekin match ke baad captain Shubman Gill ko slow over-rate ke liye βΉ12 lakh ka jurmana bharna pada.
“Yeh team ka is season ka pehla offence tha Article 2.22 ke tahat, jo minimum over-rate se juda hua hai, isliye Gill par βΉ12 lakh ka fine lagaya gaya,” IPL ki official statement mein kaha gaya.
Extreme heat ke chalte match kaafi tough ban gaya tha. GT ke bowlers ko cramps aaye, jisme veteran Ishant Sharma ko toh medical attention tak leni padi. DC ke captain Axar Patel aur GT ke hero Jos Buttler bhi cramps se pareshaan rahe, lekin Buttler ne himmat dikhate hue 97* runs ki unbeaten knock kheli aur GT ko jeet dilayi.
GT ne banaya IPL ka apna sabse bada chase ka record
204 ka target chase karna GT ke liye ab tak ka sabse bada successful run chase raha. Pehle unka highest chase 198 runs tha jo unhone 2023 mein RCB ke against kiya tha. Aur yeh DC ke khilaaf bhi sabse bada run chase hai β CSK (188 in 2008) aur SRH (188 in 2018) ka record ab peeche chhoot gaya.
Gill ne bowlers ki performance ko diya credit
“Ek waqt lag raha tha ki total 220-230 tak chala jaayega. Lekin bowlers ne jabardast comeback kiya. Pehle match mein bhi hum 245 chase karte hue sirf 10 run se haare the. Hum chase bhi achha kar rahe hain aur defend bhi. Axar batting kar rahe the toh socha fast bowlers ke saath hi jaayein,” Gill ne post-match presentation mein kaha.
Buttler-Rutherford ki jodi ne macha diya hungama
“Run-out hone ka tareeka kaafi disappointing tha, lekin abhi bahut matches baaki hain. Butter aur Rutherford ne jis tarah se strike rotate ki aur time pe big shots lagaye, woh dekhkar maza aa gaya. Sirf power-hitting nahi thi, planning bhi thi β ek dum classy batting thi,” Gill ne kaha.
Gujarat Titans ab tak ke 7 matches mein 5 jeet ke saath points table ke top par hain. Gill ka run-out hone ke bawajood unki captaincy aur team ki performance ne sabka dil jeet liya hai.