Pahalgam, Kashmir ka ek khubsurat tourist spot 22 April ko ek bhayanak aatanki hamle ka shikar bana. Achanak huye goli bari mein kam se kam 26 logon ki jaan chali gayi, aur 20 se zyada log ghayal ho gaye. Yeh haadsa poore desh ko jhatka dene wala tha, jahan log gham aur gusse se bhar gaye.
Is ghatna par turant pratikriya dete hue, BCCI ke Vice President Rajeev Shukla ne Sports Tak se exclusive baat cheet mein aatanki hamle ki kathor ninda ki aur shaheedon ke parivaron ke prati samvedana vyakt ki.
“Hum shikaron ke saath hain aur hum is ghatna ki sakht ninda karte hain,” – Rajeev Shukla
Jab unse poocha gaya ki kya ab BCCI ko Pakistan ke saath cricket band kar dena chahiye, to unka jawab bilkul saaf tha:
“Jo hamari sarkar kahegi wohi hoga. Bilateral series Pakistan ke saath hum pehle se nahi khel rahe aur aage bhi nahi khelenge. ICC events mein hum isliye khelte hain kyunki woh alag platform hai. ICC ko bhi yeh sab pata hai aur woh bhi dekh rahe hain.” – Rajeev Shukla
BCCI Secretary Devajit Saikia ne bhi is ghatna par gahri peeda vyakt ki aur is nirdayak hamle ke liye apna rosh vyakt kiya. Unhone bhi parivaron ke saath samvedana jatayi.
“Cricketing community is ghatna se deeply shocked hai. Pahalgam mein huye is darawane aatanki hamle ki hum puri takat se ninda karte hain. BCCI ki taraf se hum apni gehri samvedana vyakt karte hain aur prarthana karte hain un atmaon ke liye. Iss dukh ki ghadi mein hum ek saath hain.” – Devajit Saikia
Iss ghatna ke baad IPL 2025 ke MI vs SRH match ke dauran kuch khaas kadam uthaye gaye hain. Aaj, 23 April ko Hyderabad ke Rajiv Gandhi International Stadium mein hone wale match se pehle ek minute ka maun rakhkar shraddhanjali di jayegi.
Iske alawa, dono teams ke players aur officials black armbands pehnenge taaki marne walon ke prati shraddha jatai ja sake. Match ke dauran na koi fireworks honge, na cheerleaders ka performance, sirf ek shant aur samman bhara mahol hoga.