Wednesday, April 30, 2025

Top 5 This Week

Related Posts

MI vs LSG Drama: Rishabh Pant Shocks Fans, Drops Top Wicket-Taker for Mayank Yadav – Hardik Pandya’s Double Twist Revealed!

Wankhede Stadium mein aaj ka maha muqabala MI vs LSG ke beech, toss ka baazi Rishabh Pant ne jeeta aur pehle bowling choose ki. Aur uske saath hi ek bada decision bhi liya – unhone apne team ke leading wicket-taker Shardul Thakur ko drop karke comeback king Mayank Yadav ko playing XI mein jagah di.

“Hum bowling kar rahe hain. Din ke match mein pitch ka pura fayda uthana chahte hain. Team ko priority dena mera focus hai. Ek change hai – Shardul bahar, Mayank andar,” Pant ne toss ke baad bataya.

Dusri taraf, MI captain Hardik Pandya bhi toss jeetne ka plan bana rahe the, par jab toss haara toh unhone batting karne ka decision warmly accept kiya. Pandya ne bhi apni team mein do bade changes kiye:

  • Karn Sharma ko injured Mitchell Santner ke jagah team mein laya gaya.
  • South Africa ke all-rounder Corbin Bosch ko unka debut cap diya gaya, jo PSL chhod kar MI join karne aaye the.

“Hum bhi bowling karne ka soch rahe the, par garmi dekhkar batting mein koi problem nahi. ESA initiative humare liye khaas hai aur humein bachon ke liye achha khelna hai. IPL mein har match important hai. 2 changes hue hain – Karn Sharma aur Corbin Bosch ki entry,” Pandya ne bataya.

MI vs LSG Playing XIs:

MI Playing XI: Ryan Rickelton (w), Rohit Sharma, Will Jacks, Suryakumar Yadav, Tilak Varma, Hardik Pandya (c), Naman Dhir, Corbin Bosch, Trent Boult, Deepak Chahar, Karn Sharma

Impact Subs: Jasprit Bumrah, Raj Bawa, Satyanarayana Raju, Robin Minz, Reece Topley

LSG Playing XI: Aiden Markram, Mitchell Marsh, Nicholas Pooran, Rishabh Pant (w/c), Abdul Samad, Ayush Badoni, Digvesh Singh Rathi, Ravi Bishnoi, Avesh Khan, Prince Yadav, Mayank Yadav

Impact Subs: David Miller, Shahbaz Ahmed, Himmat Singh, Yuvraj Chaudhary, Akash Maharaj Singh

MI vs LSG Head-to-Head:

Ab tak ke encounters mein Lucknow Super Giants ne Mumbai Indians ko 7 mein se 6 baar haraya hai. MI ka eklauta win IPL 2023 eliminator mein Chennai mein aaya tha.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Popular Articles