IPL 2025 mein ek taraf match ka junoon hai, to doosri taraf Sunrisers Hyderabad ke star batter Travis Head ek bade legal pange mein phans gaye hain. Royal Challengers Bengaluru (RCB) ne Uber ke khilaaf Delhi High Court</strong mein case daakhil kiya hai, ek aise advertisement ke liye jisme Head ne kuch aisa kar diya jo RCB ko bilkul pasand nahi aaya.
Ye ad, jiska title hai ‘Baddies in Bengaluru ft. Travis Head’, YouTube par Uber ke taraf se launch hua tha. Ad mein Head, jise ‘Hyderabaddie’ ke naam se dikhaya gaya hai, ek white shirt aur gold chains mein dikhte hain – ek proper gangsta vibe ke saath. Ad ke ek segment mein, Head aur unka gang Bengaluru stadium ke andar ghus jaate hain aur spray se board ka naam badal dete hain – ‘Bengaluru vs Hyderabad’ se ‘Royally Challenged Bengaluru vs Hyderabad’ kar dete hain.
RCB ne is pe kaafi sakht objection uthaya hai. Unke advocate Shwetasree Majumder ne court mein argue kiya ki Uber ne unka registered trademark ya uska deceptive variant use kiya hai bina permission ke. Unka kehna hai ki yeh ad RCB ki image ko damage karta hai.
“You had millions of creative ways to do advertisements. Did you have to do it using my trademark? And using someone who was earlier with me?”
RCB ke objections ke baad Delhi High Court ne ab interim injunction par apna order reserve kar liya hai. Agar yeh injunction pass hota hai, to Uber ko ad broadcast karna rokna pad sakta hai ya phir usme changes karne padenge jab tak final decision na aaye.
Uber ki taraf se court mein argue kiya gaya ki unka content commercial free speech ke under aata hai, aur is ad ka maksad kisi team ka mazaak udaana nahi tha. Uber ke advocate ne kaha:
“In the past, teams have challenged RCB and there have been media articles saying RCB has been royally challenged in the match.”
Unhone ye bhi clarify kiya ki Travis Head ne RCB ko ‘baddies’ nahi bola, balki apne aap ko ek bada challenge ya ‘headache’ ke roop mein dikhaya, jo unka typical fun persona hai. Uber ne RCB ki reaction ko “severely discounted sense of humor” ka tag diya.
Interestingly, Travis Head pehle khud RCB ke liye khel chuke hain, isiliye ad mein unka aana aur bhi zyada controversial ban gaya hai. Par despite legal controversy, ad ne Instagram par 54 million+ views already cross kar liye hain.
Waise, SRH ka agla match April 17 ko Wankhede Stadium mein Mumbai Indians ke khilaaf hai. Dekhna yeh hoga ki legal pitch pe Travis Head aur Uber ki team ka score kya hota hai!