IPL 2025 mein ek aur dhamakedar takkar dekhne ko mili jab Royal Challengers Bengaluru (RCB) ne Punjab Kings (PBKS) ko 7 wickets se dhool chata di. Ye match khela gaya Maharaja Yadavindra Singh International Cricket Stadium, Mullanpur mein, jahan RCB ne PBKS ko har angle se dominate kiya.
RCB ke liye Virat Kohli ne ek aur baar chase ka masterclass diya, 54 balls mein 73 runs jodkar innings ko anchor kiya. Unke sath Devdutt Padikkal</strong ne bhi 35 balls mein 61 runs thok diye, dono ne milkar 103-run ki zabardast partnership banayi aur target ko 7 balls pehle hi chase kar liya.
Is jeet ke sath RCB ne apna paanchwa match jeeta aur IPL 2025 points table mein teesaray number par jump kar gaya. Wahin PBKS ne chauthi position par slip kiya.
Shreyas Iyer ne match ke baad post-match presentation mein apni team ke performance par naraazgi jatayi. Unhone kaha:
“Bas ek chhoti si niggle hai, agle match tak theek ho jaunga. Humare majority batters ball one se maarna chahte hain, lekin wicket ko samajhne mein hum fail ho rahe hain jab pehle batting karte hain. Achhe starts milne ke bawajood capitalize nahi kar pa rahe. Score defend karne layak nahi bana pa rahe. Agar positives dekhein toh start acha tha, bowlers bhi zabardast bowling kar rahe hain. Virat aur unki team ne kamaal ka khela. Humein wicket ke hisaab se adapt karna hoga. Ball puraana hone ke baad skid nahi karta, toh uske hisaab se khelna padega. Hamare openers stroke-makers hain, unhe slow down karna mushkil hai. Mujhe bas 10 runs chahiye confidence ke liye, uske baad charge le lunga. Bahane nahi chahiye, bas present mein rehna hai. Ab humare paas 6 din ka break hai, wapas drawing board par jaake refresh hona zaroori hai.“
PBKS ka agla match April 26 ko Kolkata Knight Riders (KKR) ke khilaaf hoga Eden Gardens mein. Wahin RCB ka next clash April 24 ko Rajasthan Royals (RR) ke saath hoga M Chinnaswamy Stadium mein.
Ab dekhna hoga ki Iyer ki team is break ke baad kya comeback karti hai ya RCB ki winning streak continue hoti hai!