Eden Gardens, Kolkata – IPL 2025 ka ek aur dhamakedar muqabla dekhne ko mila jab Kolkata Knight Riders (KKR) ke captain Ajinkya Rahane ne toss jeet kar Gujarat Titans (GT) ke khilaf pehle bowling ka faisla kiya. Pitch thoda dry tha, aur Rahane ne kaha ki unki team ko pitch ka andaaza pehle bowling se hi milega.
KKR me 2 badi changes dekhne ko mili – explosive wicketkeeper Rahmanullah Gurbaz aur seasoned all-rounder Moeen Ali playing XI ka hissa ban gaye hain. Ye dono players team ke middle-order ko boost dene ke liye laaye gaye hain.
Rahane ne kaha, “Sabhi players hard work kar rahe hain, aur hume bas positive rehna hai. Middle-order ko leke zyada concern nahi hai.”
GT ke captain Shubman Gill ne bataya ki unki team bhi achhe momentum mein hai. “Har player contribute kar raha hai wickets ke saath. Rashid Khan jaise player ka hona kisi bhi captain ke liye blessing hota hai,” unhone kaha.
Points table ki baat karein to GT ka raaj hai – unhone 7 matches me se 5 jeete hain, aur filhaal top par bane hue hain. Wahi defending champions KKR ke liye season utna promising nahi raha – 7 me se sirf 3 jeet paaye hain. Agar title bachana hai to unhe turant winning track par lautna hoga.
GT ka psychological edge bhi bana hua hai – IPL history me jab bhi ye dono teams takraayi hain, GT ne 2 matches jeete hain, KKR sirf 1, aur ek match inconclusive raha. Is baar bhi GT ka form strong hai, isliye unka upper hand lag raha hai.
KKR vs GT: Playing XIs
Kolkata Knight Riders: Rahmanullah Gurbaz (wk), Sunil Narine, Ajinkya Rahane (c), Venkatesh Iyer, Rinku Singh, Moeen Ali, Andre Russell, Ramandeep Singh, Harshit Rana, Vaibhav Arora, Varun Chakaravarthy.
Gujarat Titans: Shubman Gill, Sai Sudharsan, Jos Buttler, Sherfane Rutherford, Shahrukh Khan, Rahul Tewatia, Rashid Khan, Washington Sundar, Sai Kishore, Mohammed Siraj, Prasidh Krishna.
Ab dekhna yeh hoga ki KKR ki yeh fresh strategy unhe GT ke khilaf ek much-needed jeet dilwa paati hai ya nahi!