Vizag mein 30 March ka din Delhi Capitals (DC) ke naam raha, jab unhone Sunrisers Hyderabad (SRH) ko 7 wickets se hara diya — aur is jeet ke asli hero the Mitchell Starc!
Australian pace sensation ne apne T20 career ka pehla fifer leke SRH ke batting order ki kamar tod di. Starc ne sirf 3.4 overs mein 5 wickets le daale, sirf 35 runs deke. Aur sochiye, yeh unka 134wa T20 match tha — pehli baar kisi match mein 5 wickets liye!
SRH ke key batters jaise Travis Head, Ishan Kishan, Nitish Kumar Reddy, Wiaan Mulder aur Harshal Patel ko Starc ne apni pace aur variation se bewilder kar diya. SRH sirf 163 runs par dhair ho gayi — woh bhi 18.4 overs mein hi.
DC ne target ka chase super ease ke saath kiya — Faf Du Plessis ke tezz 27-ball 50 ke dum par unhone match sirf 16 overs mein hi khatam kar diya. Yeh unki IPL 2025 ki back-to-back doosri jeet thi.
“Been a good day. All round, we were fantastic. I don’t think there are too many egos in T20 cricket, you have to hang for dear life. You have to try and do things you don’t normally do and find leeway against batters, nice it came off today… Glad that worked out. It’s great to get into a new, young group and form new relationships with guys you haven’t played with,” – Mitchell Starc, Player of the Match.
Starc ab Delhi Capitals ke liye five-wicket haul lene wale sirf doosre bowler ban gaye hain. Pehla naam Amit Mishra ka hai, jinhone 2008 mein Deccan Chargers ke against 5 for 17 liya tha.
Ab DC apna agla match 5 April ko Chennai Super Kings (CSK) ke against khelegi, wo bhi unke ghar, MA Chidambaram Stadium mein. Kya Starc ka magic wahan bhi chalega? Dekhna interesting hoga!