Pakistan ke former pace sensation Mohammad Amir ne ek dhamakedaar statement diya hai, jisse cricket duniya mein hungama mach gaya hai. IPL aur PSL dono tournaments jab ek hi waqt chal rahe hain, toh Amir ne saaf keh diya hai ki agar IPL ka call aaya, toh woh PSL ko alvida kehne mein der nahi karenge.
Ab UK citizen ban chuke Mohammad Amir Quetta Gladiators ke liye PSL 2025 mein khel rahe hain. Unhone Geo News se baat karte hue bola:
“Honestly, agar mujhe mauka mila toh main definitely IPL kheloonga. Main yeh khule aam keh raha hoon. Lekin agar mauka nahi mila, toh phir PSL hi kheloonga. Agle saal tak mujhe IPL ka mauka mil jaayega, aur agar milta hai toh kyu nahi, IPL hi kheloonga.”
Amir ne pehle bhi Royal Challengers Bengaluru (RCB) ke dressing room ka hissa banne ki ichha jataayi thi. Unka kehna hai ki PSL ya IPL mein se jis league mein pehle unka selection hota hai, woh usi team ke liye khelne ke liye contractually bound honge.
“Mujhe nahi lagta ke agle saal IPL aur PSL ka schedule clash karega. Agar PSL draft pehle hota hai aur main pick hota hoon, toh main PSL hi kheloonga. Agar IPL auction pehle hota hai aur mujhe pick kiya jata hai, toh PSL se pull out nahi kar sakta.”
Champions Trophy 2017 ke hero Mohammad Amir ne international cricket se retire hone ke baad 2024 T20 World Cup ke liye comeback kiya tha. Lekin tournament ke baad phir se unhone retirement le liya, aur is baar ka reason unhone khud bataya:
“A wise man needs no further explanation. Agar main team ke plan mein nahi hoon, toh mujhe apne liye sochna hoga. Ab main decide kar chuka hoon — international cricket ko alvida.”
Toh kya Amir IPL 2025 mein hissa lenge? Yeh depend karta hai IPL auction aur PSL draft ke sequence par. Fans ab bas unka decision intezaar kar rahe hain!
Mohammad Amir has once again exclusively clarified which league he will be playing in next year — the PSL or the IPL. #HBLPSLX #psl2025 #PSL #ipl #ipl2025 #MohammadAmir pic.twitter.com/Acs8JkBc3R — CricFollow (@CricFollow56) April 22, 2025