IPL 2025 mein CSK vs RCB ke match ne fans ko ek aur baar Dhoni magic dikhaya – lekin is baar winning cause mein nahi, balke ek losing cause mein. Jab MS Dhoni 16th over mein no.9 par batting karne aaye, tab tak required run rate haathon se nikal chuka tha.
Former KKR star Manoj Tiwary ne CSK ke coaching staff ko seedha target kiya. Unka kehna hai ki staff mein itni himmat hi nahi ki woh Dhoni ko batting order mein upar bhejne ki salah de saken.
“It’s beyond my understanding how a batter like MS Dhoni, who can stay unbeaten after scoring 30 off 16 balls, why not move up the order? You are playing to win right?” – Manoj Tiwary, Cricbuzz par.
“That coaching staff (CSK), they do not have the guts to tell MS Dhoni to move up the order. Once he has decided, that’s it.” – Tiwary ne aur bhi kadak baat kahi.
Last over mein Dhoni ne Krunal Pandya ko do chhakke aur ek chaukka jada diya, lekin tab tak match CSK ke haathon se ja chuka tha. Fans ne bhi Twitter par nostalgia mein doob kar last-over heroics ka maza liya.
A never ending story 😊 Last over 🤝 MS Dhoni superhits 🔥
Scorecard ▶ https://t.co/I7maHMwxDS
#TATAIPL | #CSKvRCB | @ChennaiIPL
Virender Sehwag ne is mudde par zyada hairani nahi dikhayi. Unka kehna tha:
“This is something he and his team have decided. That he will only play a certain number of balls. He always comes to bat during the 17th or 18th over, he came at the same situation…I am not surprised.” – Sehwag, Cricbuzz par.
Dhoni at No.9? RARE! Ye IPL history mein sirf doosri baar hua hai. Pehli baar 2024 mein PBKS ke against jab unhe Harshal Patel ne golden duck par out kiya tha. Is baar unhone 30 off 16 ka fighting knock khela, lekin outcome CSK ke haq mein nahi gaya.
Ek chhoti si jeet Dhoni ke liye – unhone CSK ke liye sabse zyada run banane wale player ban kar Suresh Raina ko peeche chhod diya. Ab unke naam 4,699 runs hain in 204 innings.
Toh sawaal wahi hai: Dhoni ko batting order mein upar bhejna chahiye tha? Aap kya sochhte hain?