Karachi: Lahore Qalandars ke star wicketkeeper-batter Sam Billings ka ek press conference moment social media par chha gaya hai. Jab unse ek Pakistani reporter ne poocha ki PSL aur IPL mein kya behtar hai, to Billings ne pehle hans kar kaha β
“You want me to say something silly? It’s hard to look past the IPL as the premier competition in the world, it’s very obvious, every other competition is just behind.”
Yeh jawab sunte hi conference room mein halki si hansi chh gayi. Billings ne clearly bola ki IPL duniya ka sabse top T20 tournament hai, aur baaki leaguesβincluding PSL, BBL aur The HundredβIPL ke model ko follow karne ki koshish kar rahe hain.
Billings ne PSL ke standards ki tarif bhi ki, lekin IPL ko ‘benchmark’ batate hue kaha ki sabhi leagues usi level tak pahuchne ki race mein hain.
Form mein dikh rahe hain Billings
Apne form ki baat karein to Sam Billings ne tournament ke pehle match mein duck maarne ke baad Quetta Gladiators ke against sirf 19 balls mein 50* banakar sabko impress kiya.
Shaheen ki aag, Fakhar aur Mitchell ka dhamaka
April 14 ko Karachi ke National Stadium mein Lahore Qalandars ne Karachi Kings ko 65 runs se hara diya. Fakhar Zaman (54) aur Daryl Mitchell (51) ne fifties maari, jabki Billings ne end mein 10 balls par quickfire 19 run jod diye.
Shaheen Afridi ne naye ball se kamal karte hue David Warner aur James Vince ko 2-ball ducks par out kar diya. Karachi ki batting puri tarah bikhad gayi thi, aur unhone sirf 136 runs banaye.
Multan se hoga agla takkar
Lahore Qalandars ki yeh doosri badi win hai, aur ab unka agla match April 22 ko Mohammad Rizwan ke Multan Sultans ke khilaf hai. Dekhna hoga ki kya Billings aur Shaheen ka combo wahan bhi dhamal karega ya nahi!